WAADE SAARE LYRICS IN HINDI: वादे सारे, The song is sung by Jubin Nautiyal and released by T-Series label. WAADE SAARE is a Playful song, composed by Shubham Srivastava, with lyrics written by Kaushal Kishore.
वादे सारे Waade Saare Lyrics in Hindi
जिस्म में था तू जान के जैसे
ऐसे कैसे दोनों खो गए
आया तुझे ना इश्क़ निभाना
तुम भी औरों जैसे हो गए
नहीं ये नहीं ये तो
नहीं होने वाला था ना
कैसे दोनों बिछड़ गए
वादे सारे किधर गए
कैसे दोनों बिछड़ गए
ये तो नहीं होने वाला था ना
दिल से कैसे उतर गए
भारतलिरिक्स.कॉम
एक दर्द का समंदर तन्हा मैं जिसके अंदर
जहाँ ग़म हर दम दिल में चुभता रहे
भीगी हुई ये आँखें कहाँ छोड़ा तुमने लाके
ये ज़ख़्म-ए-सितम तुमसे हमदम मिले
माँगूँ अब तो मैं रब से बस यही
मर जाएँगे ना मिलेंगे फिर कभी
ये तो नहीं होने वाला था ना
वादे सारे किधर गए
कैसे दोनों बिछड़ गए
वादे सारे किधर गए
कैसे दोनों बिछड़ गए
मेरा दिल मेरी जान
जैसे जलता जहाँ
सब कुछ मेरा बर्बाद हुआ
हो गया है जुदा
जो था मेरा ख़ुदा
जैसे जिस्म से रूह आज़ाद हुआ
वादे सारे किधर गए?
Waade Saare Lyrics
Jism mein tha tu jaan ke jaise
Aise kaise donon kho gaye
Aaya tujhe na ishq nibhana
Tum bhi auron jaise ho gaye
Nahi yeh nahi yeh toh
Nahi hone wala tha na
Kaise donon bichhad gaye
Waade saare kidhar gaye
Kaise donon bichhad gaye
Yeh toh nahi hone wala tha na
Dil se kaise utar gaye
Ek dard ka samandar tanha main jiske andar
Jahan gham har dam dil mein chubhta rahe
Bhigi hui ye aankhein kahan chhoda tumne laake
Ye zakhm-e-sitam tumse humdum mile
Maangu ab toh main rab se bas yahi
Mar jayenge na milenge phir kabhi
Yeh toh nahi hone wala tha na
Waade saare kidhar gaye
Kaise donon bichhad gaye
Waade saare kidhar gaye
Kaise donon bichhad gaye
Mera dil meri jaan
Jaise jalta jahan
Sab kuch mera barbaad hua
Ho gaya hai juda
Jo tha mera khuda
Jaise jism se rooh azaad hua
bharatlyrics.com
Waade saare kidhar gaye?
