Waqt Lyrics - Paradox

WAQT LYRICS: Waqt is a Playful song, voiced by Paradox from Paradox. The song is composed by An1k8t, with lyrics written by Paradox.

Waqt Lyrics

Ae waqt thehar ja zara
Abhi unse na milna hua
Thodi yaadein reh gayi
Baatein reh gayi jaane kya raaton mein raha

Ae waqt thehar ja zara
Abhi unse na milna hua
Thodi yaadein reh gayi
Baatein reh gayi jaane kya raaton mein raha

Ae waqt thehar ja zara
Abhi unko main padh na saka
Thodi yaadein reh gayi baatein reh gayi
Jaane kya aankhon ne kaha

Aankhon ne kaha tha aankhon se
Ki baatein karte rahenge
Zubaan tumhari aankhon ne nahi di thi toh
Tauheen na karo

Nikal jaate hain aaj bhi inhi raahon pe raaton mein
Pata hai nahi miloge tum
Kya karein hai shauq e aakrosh

Kash roz tumhe bata diya hota ki nashe ne nahi
Tumhare intezaar ne mera yeh haal kiya
Kash roz tumse tumhara haal puchne ke saath saath
Bata diya hota ki mera bhi haal kya hai

Kash tum samajh paate ki sawaal the
Par fikr thi unke peeche
Kash tum jawaab mein bas itna keh dete
Ki sawaal pasand nahi the tumhe

Ae waqt thehar ja zara
Abhi unse na milna hua
Thodi yaadein reh gayi
Baatein reh gayi jaane kya raaton mein raha

Ae waqt thehar ja zara
Abhi unko main padh na saka
Thodi yaadein reh gayi
Baatein reh gayi jaane kya aankhon ne kaha

bharatlyrics.com

Keh toh diya tha magar
Nibhana kaise hai pata nahi tha shayad
Seh toh liya tha magar
Sawarna kaise hai pata nahi tha shayad
Shayad soch liya tha
Ki hum tum aur main se zyada kareeb the mere
Lekin tum aur main
Kaafi alag the pata nahi tha shayad

Maana rihayi maine khud hi se de di thi tumhe
Lekin tum toh jadugar the na
Tum toh mutthi mein ret thaamna bhi jaante the
Haan main nadaan tha
Lekin meri nadaani tum sambhaal nahi paaye
Kyun tum toh sab sambhaalna jaante the

Ae waqt thehar ja zara
Abhi unse na milna hua
Thodi yaadein thodi baatein
Jaane kya aankhon ne kaha

Ae waqt thehar ja zar

Waqt Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download

FAQs

The song Waqt is from the Paradox.

The song Waqt was sung by Paradox.

The music for Waqt was composed by An1k8t.

The lyrics for Waqt were written by Paradox.

The music director for Waqt is An1k8t.

The song Waqt was released under the Paradox.

The genre of the song Waqt is Playful.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *