Kaafi raaton se Lyrics - Paradox

LYRICS OF KAAFI RAATON SE: The song is sung by Paradox from Paradox. KAAFI RAATON SE is a Pop song, composed by Ishh, with lyrics written by Tanishq.

Kaafi raaton se Lyrics

Kaafi raaton se main mila nahi hoon shaamon se
Kaafi shaamon se main mila nahi insaanon se
Haal mila mujhe zaroor pareshaaniyon se
Jo dhoondhte sawaal hain sawaal ye jawaabon mein

Main to dhoondhta nishaan be-nishaanon mein
Chhodta nishaan hoon zubaan pe deewanon ke
Jaanoge? Mujhe jaanoge jab miloge zamaane se
Zamaane ko pehchanoge?

Maanoge kya baat meri maanoge kya?
Ke upar uth chuka hoon ab main saare ye sawaalon se
Oonchai nahi maapta udaano se
Aur maapta gehrai milti hai bas kinaaron pe

Mujhe milna nahi hai ab anjaanon se
Mujhe lagta nahi hai mujhe jaanoge
Aadi ho gaye hain ye mere gaanon ke
Mere hi jaise apne ho gaya main taraano ke

Taraano ke
Taraano bahaano ke aasre banata nahi bahaano ke
Dhool sa shareer mujhe phir se daba doge
Main phool ban kar aaunga tum raushni hata doge
Chhaon sa chhipna chahoonga tum dhoondh nikaaloge

bharatlyrics.com

Par kya dhoondh paoge wajood mera dhoondh lena
Mil jaaye jo sitaaron mein
Khoob kehna alag tha insaanon se
Chalo main miloonga ab misaalon mein

Maanoge kya baat meri maanoge kya?
Ke kismat maine khoob yoon hi baant di baazaaron mein
Ab khushi baaki khwaabon se hi chheen leta hoon
Poora karta nahi bas waadon ke kareeb baitha hoon

Bhula doge galtiyan bhula doge kya?
Gila sach mein abhi nahi hai laazmi in raahon pe
Kabhi gaanon ke saharon se main peed sehta hoon
Deewana hoon main taaron ke nazdeek rehta hoon

Dheet jaisa hoon khudi ke naseeb jaisa hoon
Aane wala hoon kal chakko mein rasee kaisa hoon
Maa-baap ki khushiyon ko main jeet kehta hoon
Kaise haar jaaun haar ko bhi seekh kehta hoon

Kaafi raaton se Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download

FAQs

The song Kaafi raaton se is from the Paradox.

The song Kaafi raaton se was sung by Paradox.

The music for Kaafi raaton se was composed by Ishh.

The lyrics for Kaafi raaton se were written by Tanishq.

The music director for Kaafi raaton se is Ishh.

The song Kaafi raaton se was released under the Paradox.

The genre of the song Kaafi raaton se is Pop.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *