Waqt Waqt Ki Baat Lyrics - Kishore Kumar

Waqt Waqt Ki Baat lyrics, the song is sung by Kishore Kumar from Bhola Bhala (1978). The music of Waqt Waqt Ki Baat Happy track is composed by Rahul Dev Burman while the lyrics are penned by Anand Bakshi.

Kal tak main akelaa thaa
Aaj zamaanaa saath hai
Waqt waqt ki baat hai
Samajhe naa
Waqt waqt ki baat hai
Kal tak main akelaa thaa
Aaj zamaanaa saath hai
Waqt waqt ki baat hai
Waqt waqt ki baat hai

bharatlyrics.com

Jab itnaa mashoor naa
Thaa yaaron meraa naam
Tab paani naa miltaa
Thaa ab milte hain jaam
Kal ye raat andheri thi
Aaj suhaani raat hai
He waqt waqt ki baat hai
Waqt waqt ki baat hai

Sunkar meri baaton ko
Hai duniyaa hairaan
Dekhte rah gaye sab
Maine maar liyaa maidaan
Kal dil mein veeraani thi
Aaj magar baaraat hai
He waqt waqt ki baat hai
Waqt waqt ki baat hai

Aaj tu jaanegi mujhko
Ai mere mahboob
Bholaa bhaalaa hoon lekin
Aadmi hoon main khoob
Kal thaa jis kaa intezaar
Aaj wo mulaaqaat hai
He waqt waqt ki baat hai
Waqt waqt ki baat hai
Kal tak main akelaa thaa
Aaj zamaanaa saath hai
He waqt waqt ki baat hai
Waqt waqt ki baat hai.

Waqt Waqt Ki Baat Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download