Ye Kya Zindagi Hai Lyrics - Lata Mangeshkar

Ye Kya Zindagi Hai lyrics, the song is sung by Lata Mangeshkar from Kohinoor (1960). The music of Ye Kya Zindagi Hai Sad track is composed by Naushad Ali while the lyrics are penned by Shakeel Badayuni.

Zakhmo se kalejaa chur huaa
Had ho gai gham me naalo ki
Kya hunhi tabaahi hoti hai
Duniya me mohabbat walo ki

Ye kya zindagi hai
Ye kaisa jahaan hai
Ye kya zindagi hai
Ye kaisa jahaan hai
Jidhar dekhiye zulm
Ki daastan hai
Ye kya zindagi hai
Ye kaisa jahaan hai

Kahi hai kafas me
Kisi ka basera
Kahi hai nigaaho me
Gham kaa adhera
Kahi dil kaa lutataa
Huaa caaravaa hai
Jidhar dekhiye zulm
Ki daastan hai
Ye kya zindagi hai
Ye kaisa jahaan hai

Yaha aadmi aadmi
Kaa hai dushman
Yaha chaak insaaniyat
Kaa hai daaman
Mohabbat kaa ujadaa
Huaa aashiyaa hai
Jidhar dekhiye zulm
Ki daastan hai
Ye kya zindagi hai
Ye kaisa jahaan hai

bharatlyrics.com

Ye beraham duniya
Samajh me na aae
Yaha kar rahe hai
Sitamagar khudaai
Na jaane tu ai
Duniyawale kahaan hai
Jidhar dekhiye zulm
Ki daastan hai
Ye kya zindagi hai
Ye kaisa jahaan hai

Ye kya zindagi hai
Ye kaisa jahaan hai
Jidhar dekhiye
Zulm ki daastan hai.

Ye Kya Zindagi Hai Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download