Ye Thandi Hawa Rangeen Fizaa Lyrics - Geeta Ghosh Roy Chowdhuri (Geeta Dutt), Shaminder Pal

Ye Thandi Hawa Rangeen Fizaa lyrics, the song is sung by Geeta Ghosh Roy Chowdhuri (Geeta Dutt), Shaminder Pal from Son Of Ali Baba (1952). Ye Thandi Hawa Rangeen Fizaa Playful soundtrack was composed by Sardul Singh Kwatra with lyrics written by Prem Dhawan.

Ye shokh adaa mast nigaah
Ye shokh adaa mast nigaah
Jab tadapaaye chain na aaye
Tum hi bataao kya karen
Ye thandi hawa rangeen fizaa
Jab gungunaayen dil ko sataaye
Tum hi bataao kya karen
Ye thandi hawa rangeen fizaa

Tu mera fasana main teri kahaani
Tere hi sahaare hai meri zindagaani
Tu mera tasawwur khwaabhon ki raani
Dil mein hai hardam teri yaad suhaani
Ye khoyi nazar sham-o-sahar
Tumko bhulaaye lekin na paaye
Tum hi bataao kya karen
Ye thandi hawa rangeen fizaa

bharatlyrics.com

Ye dil bhi hai tera jaan bhi hai teri
Tu pass ho to saari duniya hai meri
Tu mera shahaara taqdeer meri
Tere beena hai dil ki duniya andheri
Ae jaan-e-wafaa khuda hai gawaah
Tujhko bulaayen baithen hain khaaye
Tum hi bataao kya karen
Ye thandi hawa rangeen fizaa
Jab gungunaayen dil ko sataye
Tum hi bataao kya karen
Ye thandi hawa rangeen fizaa.

Ye Thandi Hawa Rangeen Fizaa Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download