Zara Sunte Jaana Ho Lyrics - Anna Saheb, Sulochana Kadam

Zara Sunte Jaana Ho lyrics, the song is sung by Anna Saheb, Sulochana Kadam from Babooji (1950). Zara Sunte Jaana Ho Playful soundtrack was composed by P. Ramakant with lyrics written by Ehsan Rizvi.

Zaraa sunte jaana ho o
Zaraa sunte jaana ho
Do dilon ka afsaana
Zaraa sunte jaana

Meri baaton ka tum kuchh
Bura na manaana
Meri baaton ka tum kuchh
Bura na manaana
Zaraa sunte jaana ho o
Zaraa sunte jaana ho
Do dilon ka afsaana
Zaraa sunte jaana

bharatlyrics.com

Baat buri ho ya bhali
Ab sun’na nahin zaroori
Baat buri ho ya bhali
Ab sun’na nahin zaroori
Pehle tumhe thhi majboori
Pehle tumhe thhi majboori
Ab mujhe bhi hai majboori
Meethi meethi
Meethi meethi baatein apni
Mujhe na sunaana
Zaraa sunte jaana ho o
Zaraa sunte jaana ho
Do dilon ka afsaana
Zaraa sunte jaana

Kal ka jhagdaa aaj ka milna
Kal ka jhagdaa aaj ka milna
Samay samay ki baat
Kabhi ke lambe din hote hain
Kabhi ki lambi raat
Kabhi ke lambe din hote hain
Kabhi ki lambi raat
Jeewan ka sukh ban jaata hai
Rooth ke mil jaana
Jeewan ka sukh ban jaata hai
Rooth ke mil jaana
Zaraa sunte jaana ho o
Zaraa sunte jaana ho
Do dilon ka afsaana
Zaraa sunte jaana

Roz roz ke jhagde mein to
Niklegaa deewaala
Roz roz ke jhagde mein to
Niklegaa deewaala
Bol-baala pyaar ka hai
Jhagde ka munh kaala
Waada kar ke
Waada kar ke pyaar ka
Mat waade se phir jaana
Zaraa sunte jaana ho o
Zaraa sunte jaana ho
Do dilon ka afsaana
Zaraa sunte jaana.

Zara Sunte Jaana Ho Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download