Apni Nazar Se Dur Wo Lyrics - Lata Mangeshkar, Mohammed Rafi

Apni Nazar Se Dur Wo lyrics, the song is sung by Lata Mangeshkar, Mohammed Rafi from Bazaar (1949). Apni Nazar Se Dur Wo Playful soundtrack was composed by Shyam Sunder Premi (Shyam Sunder) with lyrics written by Qamar Jalalabadi.

Apni nazar se door wo
Apni nazar se door wo
Unki nazar se door hum
Tum hi batao kya kare
Majboor tum majboor hum
Tum hi batao kya kare

bharatlyrics.com

Bujh gaya pyar ka chirag
Dil ka jaha ujad gaya
Pyar mein hum to lut gaye
Aapka kya bigad gaya
Aapka kya bigad gaya
Isse badi saja hai kya
Isse badi saja hai kya
Tumse hai dur dur hum
Tumhi batao kya kare

Khwab mein aao ek bar
Jakhme jigar dikhaye hum
Tum bhale bewafa kaho
Lab na magar hilaye hum
Aasu tapakte yeh kahe
Aasu tapakte yeh kahe
Majboor tum majboor hum
Tum hi batao kya kare

Sathi nahi koi mera
Aur koi rajda nahi
Aisa luta hai kaifla
Kadmo ka bhi nishan nahi
Kadmo ka bhi nishan nahi
Inta hi yaad hai hame
Inta hi yaad hai hame
Lut gaye bekasur hum
Tum hi batao kya kare
Majboor tum majboor hum
Tum hi batao kya kare.

Apni Nazar Se Dur Wo Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download