Aye Zulf-E-Pareshaan lyrics, the song is sung by Shreya Ghoshal, Sukhwinder Singh from Jaanisaar (2015). Aye Zulf-E-Pareshaan Playful soundtrack was composed by Muzaffar Ali, Ustad Shafqat Ali Khan with lyrics written by Rahi Masoom Raza.
Aye zulf e pereshan e hayaat ab toh sawar jaa
Aye zulf e pereshan e hayaat ab toh sawar jaa
Din khatam hua aa gayi raat ab toh sawar jaa
Ghairon ki bani jaati hai baat ab toh sawar jaa
Deewano ki ho jaye na maat ab toh sawar jaa
Aye zul e pereshan e hayaat ab toh sawar jaa
Aaine se ab aankh milayi nahi jaati
Katt jaye par gardan toh jhukayi nahi jaati
Jis dar ne tumhein izzat o touqeer aata ki
Jis dar ne tumhein khilat o jaageer aata ki
Jis dar ne tumhein ek nayi taqdeer aata ki
Jis dar e tumhein azmat o taameer aata ki
Aaataa kiiii
bharatlyrics.com
Kya tum yeh do rangi jahaan dekh sakoge
Us dar pe firangi ka nishaan dekh sakoge.