Bada Zulm Dekha Lyrics - Lata Mangeshkar

Bada Zulm Dekha lyrics, the song is sung by Lata Mangeshkar from Aurat (1953). The music of Bada Zulm Dekha Sad track is composed by Jaikishan Dayabhai Panchal, Shankar Singh Raghuvanshi while the lyrics are penned by Shailendra (Shankardas Kesarilal).

Ye dunia banai hai kis beraham ne
Ye dunia banai hai kis beraham ne
Bada julm dekha jamane me hamne
Bada julm dekha jamane me hamne
Ye dunia banai hai kis beraham ne
Ye dunia banai hai kis beraham ne
Bada julm dekha jamane me hamne
Bada julm dekha jamane me hamne

Wo rangin bachpan bacha ke na aaya
Jawani ne aate hi dil ko jalaya
Uljhati gayi meri manjil ki rahe
Uljhati gayi meri manjil ki rahe
Diya mujhko dhokha mere har kadam ne
Bada julm dekha jamane me hamne

Amiro ne daulat se chahat kharidi
Garibo ki masum kismat kharidi
Insan sab jan kar bhi ek chup hai
Insan sab jan kar bhi ek chup hai
Tujhe bandh rakha hai kis ke bharm ne
Bada julm dekha jamane me hamne

Are aasma chup hai kyu bol kuchh to
Raham ke samunbdar are dol kuchh to
Hai kis hal me dekhle teri dunia
Hai kis hal me dekhle teri dunia
Hai kis hal me dekhle teri dunia
Ye kya kar diya tere rahmo karam ne
Bada julm dekha jamane me hamne

bharatlyrics.com

Badalte hai mausam to badalegi dunia
Jaha ko badal kar hi dam legi dunia
Sitaro se unchi hai hasti hamari
Sitaro se unchi hai hasti hamari
Nayi jan dali ummido ke gum ne
Bada julm dekha jamane me hamne
Bada julm dekha jamane me hamne.

Bada Zulm Dekha Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download