Bhaiya Mere Raakhi Ke Bandhan Ko Nibhana Lyrics - Lata Mangeshkar

Bhaiya Mere Raakhi Ke Bandhan Ko Nibhana lyrics, the song is sung by Lata Mangeshkar from Chhoti Bahen (1959). Bhaiya Mere Raakhi Ke Bandhan Ko Nibhana Festivals soundtrack was composed by Jaikishan Dayabhai Panchal, Shankar Singh Raghuvanshi with lyrics written by Shailendra (Shankardas Kesarilal).

Bhaiya mere raakhi ke badhan ko nibhana
Bhaiya mere chhoti bahan ko na bhulana
Dekho ye nata nibhana, nibhana
Bhaiya mere raakhi ke badhan ko nibhana
Bhaiya mere chhoti bahan ko na bhulana
Bhaiya mere

Ye din ye tyohar khushi ka,
Pawan jaise nir nadi ka
Bhaai ke ujale maathe pe,
Bahan lagaye magal tika
Jhume ye sawan suhaana, suhaana
Bhaiya mere raakhi ke badhan ko nibhana
Bhaiya mere chhoti bahan ko na bhulana
Bhaiya mere

bharatlyrics.com

Baandh ke hamane resham dori,
Tum se wo ummid hai jodi
Naazuk hai jo daant ke jaise,
Par jivan bhar jaae na todi
Jaane ye sara zamaana, zamaana
Bhaiya mere raakhi ke badhan ko nibhana
Bhaiya mere chhoti bahan ko na bhulana
Bhaiya mere

Shayad wo sawan bhi aaye,
Jo bahana ka rang na laye
Bahan paraae desh basi ho,
Agar wo tum tak pahunch na paaye
Yaad ka dipak jalaana, jalaana
Bhaiya mere raakhi ke badhan ko nibhana
Bhaiya mere chhoti bahan ko na bhulana
Bhaiya mere.

Bhaiya Mere Raakhi Ke Bandhan Ko Nibhana Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download