Bhool Jaane Ka Hosla Na Hua Lyrics - Pankaj Udhas

Bhool Jaane Ka Hosla Na Hua lyrics, the song is sung by Pankaj Udhas from Na-Yaab (1985). The music of Bhool Jaane Ka Hosla Na Hua Ghazal track is composed by Pankaj Udhas while the lyrics are penned by Mumtaz Rashid.

Muddate ghuzari teri yaad bhi aayi na humein
Aur hum bhul gaye ho tujhe aisa bhi nahi

Bhool jaane ka hosla na hua
Bhool jaane ka hosla na hua
Door rehkar bhi woh juda bhi na huaa
Bhool jaane ka hosla na hua
Door rehkar bhi woh juda bhi na huaa
Bhool jaane ka hosla na hua

Tumse milkar kisi se kyaa milte
Tumse milkar kisi se kyaa milte
Koi tujh jaisa doosra na huaa
Koi tujh jaisa doosra na huaa
Bhool jaane ka hosla na hua

Mere shero mein uski soorat hain
Mere shero mein uski soorat hain
Jisko dekhein huye zamana huaa
Jisko dekhein huye zamana huaa
Bhool jaane ka hosla na hua

bharatlyrics.com

Sirf usse wafa na ki raashid
Sirf usse wafa na ki raashid
Jo kabhi humse bewafa na huaa
Jo kabhi humse bewafa na huaa
Bhool jaane ka hosla na hua
Door rehkar bhi woh juda bhi na huaa
Bhool jaane ka hosla na hua
Bhool jaane ka hosla na hua.

Bhool Jaane Ka Hosla Na Hua Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download