Chenaab Ke Behte Huye Paani Lyrics - G. M. Durrani, Zohrabai Ambalewali

Chenaab Ke Behte Huye Paani lyrics, the song is sung by G. M. Durrani, Zohrabai Ambalewali from Sohni Mahiwal (1946). The music of Chenaab Ke Behte Huye Paani Playful track is composed by Lal Mohammad while the lyrics are penned by Swami Ramanand Saraswati.

Chenaab ke behte huye paani
Chenaab ke behte huye paani
Mere dilbar se keh de tu meri kahani
Mere dilbar se keh de tu meri kahani
Haaye chenaab ke behte huye paani
Chenaab ke behte huye paani

bharatlyrics.com

Mere dilbar ko keh de
Ye mera paighaam
Mere dilbar ko keh de
Ye mera paighaam
Teri yaad mein teri yaad mein
Roti hai subah shaam
Kehna ro ro ke huyi
Hai jawaani deewaani
Ro ro ke huyi hai jawaani deewaani
Chenaab ke behte huye paani
Mere dilbar se keh de
Tu meri kahani haaye
Chenaab ke behte huye paani

Jab se bas mein padi hai
Tu saiyyaad ke haaye ae
Jab se bas mein padi hai
Tu saiyyaad ke haaye ae
Tabse tukde huye dil e barbaad ke
Tabse tukde huye dil e barbaad ke
Daag seene ka hai ab to
Dil ki nishaani haaye ae
Daag seene ka hai ab to
Ab to dil ki nishaani haaye ae
Mere dilbar se keh de
Tu meri kahani
Mere dilbar se keh de
Tu meri kahani haaye
Chenaab ke behte huye paani
Chenaab ke behte huye paani

Shamaa pe jal jaaye jaise patangaa
Shamaa pe jal jaaye jaise patangaa
Tu bhi to mohabbat mein jal jaa
Tu bhi to mohabbat mein jal jaa
Ulfat lafaani ye duniya hai faani
Mere dilbar se keh de
Tu meri kahani
Mere dilbar se keh de
Tu meri kahani
Haaye chenaab ke behte
Huye paani chenaab ke.

Chenaab Ke Behte Huye Paani Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download