Deewana Dil Deewana Lyrics - Amit Kumar, Udit Narayan

Deewana Dil Deewana lyrics, the song is sung by Amit Kumar, Udit Narayan from Kabhi Haan Kabhi Naa (1993). Deewana Dil Deewana Romantic soundtrack was composed by Jatin Pandit, Lalit Pandit with lyrics written by Majrooh Sultanpuri.

Deewana dil deewana,
Deewana tera deewana
Kab se kare hai teraa intezaar,
Kab aayengi meri jane bahar
Kab se kare hai teraa intezaar
Kab aayengi meri jane bahar
Ke jitna hi behlau,
Yeh utna hi machalta hai dil
Deewana dil deewana,
Deewana tera deewana

Andaj dikhlati saton tarah ke,
Jalwe lutati huye
Andaj dikhlati saton tarah ke,
Jalwe lutati huye
Aati hogi mausam ke
Sath gulshan khilati huyi
Aa bhi ja, abb jane ja ,
Deewana dil deewana
Kab se kare hai teraa intezaar,
Kab aayengi meri jane bahar
Ke jitna hi behlau,
Yeh utna hi machalta hai dil

Dil se laga kar ke rakhha abb tak,
Resham kaa teraa rumal
Dil se laga kar ke rakhha abb tak,
Resham kaa teraa rumal
Aage kahu kya janeman
Aa dekh ja meraa hal,
Aa bhi ja abb jane ja
Deewana dil deewana

bharatlyrics.com

Tuta sitara toh manga tha rab se,
Tujhko hi jane wafa
Tuta sitara toh manga tha rab se,
Tujhko hi jane wafa
Jo tut jaye tare tamam,
Mango wahi ek duwa
Aa bhi ja, abb jane ja
Deewana dil deewana
Kab se kare hai teraa intezaar,
Kab aayengi meri jane bahar
Kab se kare hai teraa intezaar,
Kab aayengi meri jane bahar
Ke jitna hi behlau,
Yeh utna hi machalta hai dil
Deewana dil deewana,
Deewana tera deewana.

Deewana Dil Deewana Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download