Deewana Hoon Deewana Hoon Lyrics - Kundan Lal Saigal

Deewana Hoon Deewana Hoon lyrics, the song is sung by Kundan Lal Saigal from Zindagi (1940). The music of Deewana Hoon Deewana Hoon Playful track is composed by Pankaj Mullick while the lyrics are penned by Kidar Nath Sharma (Kedar Sharma).

Deewana hoon deewana hoon
Raahat se main begana hoon
Raahat se main begana hoon
Deewana hoon deewana hoon
Raahat se main begana hoon
Raahat se main begana hoon
Dil ko kaise behlaaun main
Haan ye zakhm kise dikhlaaun main
Dil ko kaise behlaaun main
Ye zakhm kise dikhlaaun main
Aansu sun sun kar hanste hain
Kya dard bhara afsana hoon
Kya dard bhara afsana hoon

bharatlyrics.com

Aayi na bahar khizaan hi sahi
Aayi na bahar khizaan hi sahi
Ujde dil mein armaan hi sahi
Ujde dil mein armaan hi sahi
Hairaan hoon ki aakhir
Kya hoon main
Hairaan hoon ki aakhir
Kya hoon main
Aabad hoon ya viraanaa hoon
Aabad hoon ya viraanaa hoon

Ghayal hoon tum se door hoon main
Ghayal hoon tum se door hoon main
Par phoonk chuka majboor hoon main
Par phoonk chuka majboor hoon main
Aye shama balaayen le aa kar
Aye shama balaayen le aa kar
Aakhir main bhi parwana hoon
Aakhir main bhi parwana hoon
Aakhir main bhi parwana hoon.

Deewana Hoon Deewana Hoon Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download