Ek Pyara Sa Gaon Lyrics - Nina Mehta, Rajendra Mehta

Ek Pyara Sa Gaon lyrics, the song is sung by Nina Mehta, Rajendra Mehta from Manzar Manzar (1989). Ek Pyara Sa Gaon Ghazal soundtrack was composed by Rajen Bhoorey with lyrics written by Sudarshan Faakir.

Ek pyara sa gaon
Jis mein peepal ki chhaon
Ek pyara sa gaon
Jis mein peepal ki chhaon
Chhaon mein aashiyaan thaa
Ek chhota makaan thaa
Chhod kar gaaon ko hum
Uss ghani chhaon ko hum
Chhod kar gaaon ko
Uss ghani chhaon ko
Sheher ke ho gaye hain
Bheed mein kho gaye hain

Ek pyara sa gaon
Jis mein peepal ki chhaon
Ek pyara sa gaon
Jis mein peepal ki chhaon
Chhaon mein aashiyaan thaa
Ek chhota makaan thaa
Chhod kar gaaon ko hum
Uss ghani chhaon ko hum
Sheher ko aa gaye hain
Bheed mein kho gaye hain
Ek pyara sa gaon
Jis mein peepal ki chhaon

Woh nadi ka kinaara
Jis pe bachpan guzara
Woh ladakpan deewana
Roz panghat pe jaana
Woh ladakpan deewana
Roz panghat pe jaana
Phir jab aayi jawaani
Ban gaye hum kahaani
Chhod kar gaaon ko hum
Uss ghani chhaon ko hum
Sheher ke ho gaye hain
Bheed mein kho gaye hain
Ek pyara sa gaon
Jis mein peepal ki chhaon

bharatlyrics.com

Itane gehare the rishtey
Log they yaa farishtey
Ek tukada zamee thi
Apni jannat wahin thi
Ek tukada zamee thi
Apni jannat wahin thi
Haay re badnasibi
Naam jiska gareebi
Chhod kar gaaon ko hum
Uss ghani chhaon ko hum
Sheher ke ho gaye hain
Bheed mein kho gaye hain
Ek pyara sa gaon
Jis mein peepal ki chhaon

Ye to pardesh thehra
Is phie desh bikhehra
Hadso ki ye basti
Koi mela na masti
Hadso ki ye basti
Koi mela na masti
Kyaa yahan zindagi hain
Har koi ajanabi hain
Chhod kar gaaon ko hum
Uss ghani chhaon ko hum
Sheher ke ho gaye hain
Bheed mein kho gaye hain
Ek pyara sa gaon
Jis mein peepal ki chhaon

Ek pyara sa gaon
Jis mein peepal ki chhaon
Chhaon mein aashiyaan thaa
Ek chhota makaan thaa
Chhod kar gaaon ko hum
Uss ghani chhaon ko hum
Sheher ko aa gaye hain
Bheed mein kho gaye hain
Ek pyara sa gaon
Jis mein peepal ki chhaon.

Ek Pyara Sa Gaon Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download