Ek Tu Hi Mera Sahara Lyrics - Alka Yagnik

Ek Tu Hi Mera Sahara lyrics, the song is sung by Alka Yagnik from Laat Saab (1992). The music of Ek Tu Hi Mera Sahara Sad track is composed by Anu Malik while the lyrics are penned by Gulshan Bawra (Gulshan Kumar Mehta).

Ek tu tu hi mera sahara
Ek tu tu hi mera sahara
Tu bhi aise rooth gaya to
Kon hai mera soch jara to
Aaja ke dil ne pukara
Ek tu tuhi mera sahara
Ek tu tuhi mera sahara

bharatlyrics.com

Pyar to hain janmo ka bandhan
Ek janam ki baat nahin hain
Pyar to hain janmo ka bandhan
Ek janam ki bat nahin hain
Woh pal barso jaisa lage
Jo pal tu mere sath nahin hain
Pyar tera pane ke liye to
Janam liya hai dobara
Ek tu tuhi mera sahara

Aa mujhko baho mein bharke
Mere dil ki pyas bujha de
Aa mujhko baho mein bharke
Mere dil ki pyas bujha de
Jag mujhko tere nam se jane
Meri suni mang saja de
Tujh bin tadap tadap ke jeena
Jeena nahin hain gawara
Ek tu tuhi mera sahara

Agar meri aaho mein asar hain
Tu aayega mujhko yaki hain
Agar meri aaho mein asar hain
Tu aayega mujhko yaki hain
Dil ki har dhadkan kahti hain
Mere pas tu yahi kahi hain
Jeet hamare pyar ki hogi
Pyar kabhi na hara
Ik tu tuhi mera sahara
Tu bhi aise rooth gaya to
Kon hai mera soch jara to
Aaja ke dil ne pukara
Ek tu tuhi mera sahara.

Ek Tu Hi Mera Sahara Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download