Gareeb Janke Hamko Lyrics - Geeta Ghosh Roy Chowdhuri (Geeta Dutt), Mohammed Rafi

Gareeb Janke Hamko lyrics, the song is sung by Geeta Ghosh Roy Chowdhuri (Geeta Dutt), Mohammed Rafi from Chhoo Mantar (1956). The music of Gareeb Janke Hamko Happy track is composed by Omkar Prasad Nayyar while the lyrics are penned by Jan Nisar Akhtar.

Gareeb jaan ke
Gareeb jaan ke ham ko na tum mita dena
Tumhi ne dard diyaa
Tumhi ne dard diyaa hai tumhi dawaa dena
Gareeb jaan ke

Lagi hai chot kaleje pe umr bhar ke liye
Lagi hai chot kaleje pe umr bhar ke liye
Tadap rahe hain muhabbat mein ik nazar ke liye
Nazar milaake
Nazar milaake muhabbat se muskura dena
Tumhi ne dard diyaa hai tumhi dawaa dena
Gareeb jaan ke

Jahaan mein aur hamaara kahaan thikaana hai
Jahaan mein aur hamaara kahaan thikaana hai
Tumhaare dar se kahaan uthke hamko jaana hai
Jo ho sake to
Jo ho sake to muqaddar mera jagaa dena
Tumhi ne dard diyaa hai tumhi dawaa dena
Gareeb jaan ke

Milaa qaraar na dil ko kisi bahaane se
Milaa qaraar na dil ko kisi bahaane se
Tumhaari aas lagaaye hain ik zamaane se
Kabhi to apni
Kabhi to apni muhabbat ka aasraa dena
Tumhi ne dard diyaa hai tumhi dawaa dena
Gareeb jaan ke

Nazar tumhaari mere dil ki baat kahti hai
Nazar tumhaari mere dil ki baat kahti hai
Tumhaari yaad to din raat saath rahti hai
Tumhaari yaad ko
Tumhaari yaad ko mushqil hai ab bhula dena
Tumhi ne dard diyaa hai tumhi dawaa dena
Tumhi ne dard diyaa

bharatlyrics.com

Milega kya jo ye duniya hamen sataayegi
Milega kya jo ye duniya hamen sataayegi
Tumhaare bin to hamen maut bhi na aayegi
Kisi ke pyaar ko
Kisi ke pyaar ko aasaan nahin mita dena
Tumhi ne dard diyaa hai tumhi dawaa dena
Gareeb jaan ke.

Gareeb Janke Hamko Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download