Gareebon Ki Duniyaa Hai Lyrics - Kundan Lal Saigal, Suraiya Jamaal Sheikh (Suraiya)

Gareebon Ki Duniyaa Hai lyrics, the song is sung by Kundan Lal Saigal, Suraiya Jamaal Sheikh (Suraiya) from Tadbir (1945). Gareebon Ki Duniyaa Hai Happy soundtrack was composed by Lal Mohammad with lyrics written by Swami Ramanand Saraswati.

Chaahe tu mitaa de
Chaahe tu bachaa le
Chaahe tu mitaa de
Chaahe tu bachaa le
Gareebon ki duniyaa
Hai tere hawaale
Gareebon ki duniyaa
Hai tere hawaale

Arre haan kabhi
Bahti thhin yahaan
Doodh ki nahren
Har dil mein uthaa
Har dil mein uthaa
Karti thhin aanand ki lahren

Ab dukh ke samandar mein hain
Ham doobne waale
Hai tere hawaale
Hai tere hawaale
Gareebon ki duniyaa
Hai tere hawaale

Garibon ki kismat
Garibon ki kismat
Kuchh aisi hai soyi
Kuchh aisi hai soyi
Jahaan mein nahin
Jahaan mein nahin
Unkaa hamdard koyi
Sab unke lahoo ko
Samjhte hain paani
Sab unke lahoo ko
Samjhte hain paani
Ab in ke liye
Ab in ke liye
Maut hai zindgaani

Naa khaane ko roti
Haan naa khaane ko roti
Naa tan pe hai kapdaa
Naa tan pe hai kapdaa
Museebat hai
Aur sahne ko jhagdaa
Pade hain ye zaalim
Zamaane ke paale
Pade hain ye zaalim
Zamaane ke paale
Gareebon ki duniyaa
Hai tere hawaale

bharatlyrics.com

Jahaan ko banaayen
Jahaan mein rahen naa
Jahaan ko banaayen
Jahaan mein rahen naa
Museebat sahen aur
Munh se kahen naa
Museebat sahen aur
Munh se kahen naa

Besabr laashen
Hazaaron padi hain
Besabr laashen
Hazaaron padi hain
Bataa aisi haalat mein
Aansoo bahen naa
Bataa aisi haalat mein
Aansoo bahen
Yoon bahte hain
Phoote huye dil ke chhaale
Yoon bahte hain
Phoote huye dil ke chhaale
Gareebon ki duniyaa
Hai tere hawaale
Gareebon ki duniyaa
Hai tere hawaale
Chaahe tu mitaa de
Chaahe tu bachaa le
Gareebon ki duniyaa
Hai tere hawaale.

Gareebon Ki Duniyaa Hai Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download