Ghunghroo Ki Tarah Bajtahi Raha Hoon Lyrics - Kishore Kumar

Ghunghroo Ki Tarah Bajtahi Raha Hoon lyrics, the song is sung by Kishore Kumar from Chor Machaye Shor (1974). Ghunghroo Ki Tarah Bajtahi Raha Hoon Sad soundtrack was composed by Ravindra Jain with lyrics written by Ravindra Jain.

Ghunghroo ki tarah bajtahi raha hoon main
Ghunghroo ki tarah bajtahi raha hoon main
Kabhi is pagh main kabhi us pagh main
Bajtahi raha hoon main
Ghunghroo ki tarah bajtahi raha hoon main

Kabhi toot gaya kabhi todha gaya
Sau bar mujhey phir jodha gaya
Kabhi toot gaya kabhi todha gaya
Sau bar mujhey phir jodha gaya
Yunhi toot toot ke aur mit mit ke
Banta hi raha hoon main
Ghunghroo ki tarah bajtahi raha hoon main

Main karta raha auron ki kahi
Meri baat mere man hi main rahi
Main karta raha auron ki kahi
Meri baat mere man hi main rahi
Kabhi mandir main kabhi mehfil main
Sajtaa hi raha hoon main
Ghunghroo ki tarah bajtahi raha hoon main

bharatlyrics.com

Apnon me rahey ya gairon me
Ghunghroo ki jagah toh hai pairon mein
Apnon me rahey ya gairon me
Ghunghroo ki jagah toh hai pairon mein
Phir kaisa gila jag se jo mila
Saheta hi raha hoon main
Ghunghroo ki tarah bajtahi raha hoon main
Ghunghroo ki tarah bajtahi raha hoon main
Bajtahi raha hoon main
Hm hmm hmm.

Ghunghroo Ki Tarah Bajtahi Raha Hoon Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download