Hai Is Hi Men Pyaar Ki Aabaroo Lyrics - Lata Mangeshkar

Hai Is Hi Men Pyaar Ki Aabaroo lyrics, the song is sung by Lata Mangeshkar from Anpadh (1962). Hai Is Hi Men Pyaar Ki Aabaroo Sad soundtrack was composed by Madan Mohan Kohli with lyrics written by Raja Mehdi Ali Khan.

Hai is hi men pyaar ki aabaroo
Vo jafa karen main vafa karun
Jo vafaa bhi kaam na aa sake
To vohi kahen ke main kya karun
Hai is hi men pyaar ki aabaroo

Mujhe gham bhi un ka aziz hai
Ke un hi ki di hui cheez hai
Mujhe gham bhi un ka aziz hai
Ke un hi ki di hui cheez hai
Ke un hi ki di hui cheez hai
Yahi gham hai ab meri zindagi
Ise kaise dil se juda karun
Hai is hi men pyaar ki aabaroo

bharatlyrics.com

Jo na ban sake main vo baat hun
Jo na khatm ho main vo raat hun
Jo na ban sake main vo baat hun
Jo na khatm ho main vo raat hun
Jo na khatm ho main vo raat hun
Ye likha hai mere naseeb men
Yunhi shamma ban ke jala karun
Hai is hi men pyaar ki aabaroo

Na kisi ke dil ki hun aarazu
Na kisi ki nazar ki hun justaju
Na kisi ke dil ki hun aarazu
Na kisi ki nazar ki hun justaju
Na kisi ki nazar ki hun justaju
Main vo phool hun jo udaas ho
Na bahaar aaye to kya karun
Hai is hi men pyaar ki aabaroo
Vo jafa karen main vafa karun
Jo vafaa bhi kaam na aa sake
To vohi kahen ke main kya karun
Hai is hi men pyaar ki aabaroo.

Hai Is Hi Men Pyaar Ki Aabaroo Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download