Husan Walo Lyrics - Junoon (Band)

Husan Walo lyrics, the song is sung by Junoon (Band) from Inquilaab (1996). Husan Walo soundtrack was composed by Junoon (Band) with lyrics written by Salman Ahmad.

Yeh neeli neeli aankhon ko
Mujh say chhupa lo
Yeh neeli neeli aankhon ko
Mujh say chhupa lo
Humain zinda rehnay do ae husan walo
Humain zinda rehnay do ae husan walo

Kar sakee na asar kabhi
Koi sharab aaj tak
Na huwa mera eemaan kharab
Kar sakee na asar kabhi
Koi sharab aaj tak
Na huwa mera eemaan kharab
Miltay hee tum say nazar
Rehta nahin koi hosh
Kho loon na tum ko agar
To doori say madhosh
Yeh neeli neeli aankhon ko
Mujh say chhupa lo
Humain zinda rehnay do ae husan walo
Humain zinda rehnay do ae husan walo

bharatlyrics.com

Kaun hoon yeh nahin
Tumhain koi khabar
Wasta bhi nahin koi tum say magar
Kaun hoon yeh nahin
Tumhain koi khabar
Wasta bhi nahin koi tum say magar
Jaanay kyun tum bin
Mujhe sooni lagay har ik shaam
Aisi hai uljhan mujhe
Jis ka nahin koi naam

Na jaanay tum bin mujhe
Aata nahin kyun chaen
Jaanay phir kab millain
Magar kaajal bharay nain
Yeh neeli neeli aankhon ko
Mujh say chhupa lo
Yeh neeli neeli aankhon ko
Mujh say chhupa lo
Humain zinda rehnay do ae husan walo
Humain zinda rehnay do ae husan walo.

Husan Walo Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download