Insaah Ki Khursi Lyrics - Kishore Kumar

Insaah Ki Khursi lyrics, the song is sung by Kishore Kumar from Justice Chaudhury (1983). Insaah Ki Khursi Philosophical soundtrack was composed by Bappi Lahiri with lyrics written by Indeevar (Shyamalal Babu Rai).

Insaaf ki khursi pe pehale
Tum khud ko bithaao
Maine galat kya kiya hai
Mujhe phir bataao
Aansu bahaake mujhe
Tum na doshi banaao
Yeh mera nahi insaaf ka faisala hai
Insaaf ka faisala, bhagvaan ka faisala
Haa insaaf ka faisala,
Bhagvaan ka faisala

I am in the hands of law,
Anything can happen
It’ s not mu flaw

bharatlyrics.com

Hoti nahi nyaay ki do aankhein,
Sehani padati hai hamein yeh baatein
Dharm ke kathin yeh raaste hain,
Ek jaise sab ke waaste hain
Bhul jaata hoon khud ki bhi surat,
Banata hoon main jab nyaa ki murat

Uss samay mera koyi kuchh nahi
Main bhi main nahi tum bhi tum nahi
Mere liye toh insaaf hi bhagvaan
Yeh mera nahi insaaf ka faisala hai
Insaaf ka faisala, bhagvaan ka faisala
Insaaf ka faisala, bhagvaan ka faisala

Patni ko aur putra ko harishchandra ne chhoda
Garbhwati sita ko raam ne ban mein chhoda
Karn ne apani maan se bhi naata nahi joda
Aoane khun ko khud maine di hai saja
Jwaalamukhi jaisa dil jala mera
Yeh sab kyun huwa,
Kyun, kis liye, kis liye
Kaanun ko nibhaane ke liye,
Insaaf ki surksha ke liye

Sachchaayi ko bachaane ke liye
Insaaf ki khursi pe pehale
Tum khud ko bithaao
Maine galat kya kiya hai
Mujhe phir bataao
Aansu bahaake mujhe
Tum na doshi banaao
Insaaf ka faisala,
Bhagvaan ka faisala.

Insaah Ki Khursi Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download