Jaise Ko Taisa Nehle Pe Dehla Lyrics - Shamshad Begum

Jaise Ko Taisa Nehle Pe Dehla lyrics, the song is sung by Shamshad Begum from Miss India (1957). Jaise Ko Taisa Nehle Pe Dehla Dance soundtrack was composed by Sachin Dev Burman with lyrics written by Rajendra Krishan.

 
Haay jaise ko taisa
Nahle pe dahla
Duniya ka pyaare
Asool hai ye pehla
Jaise ko taisa
Nahle pe dahla
Duniya ka pyaare
Asool hai ye pehla

Ho ho ho hoy
Kalyug hai kalyug
Suno ye duhaayi
Tu bi bure se karna buraayi
Kalyug hai kalyug
Hoy kalyug hai kalyug
Suno ye duhaayi
Tu bi bure se karna buraayi
Jaisa zamaana waisa taraanaa
Gaaye chalaa jaa
O mere bhai
Gaaye chalaa jaa
O mere bhai
Jaise ko taisa
Nahle pe dahla
Duniya ka pyaare
Asool hai ye pehla

Ho o o
Duniya sharaafat ko
Maane na bhaiyya
Dande ki dhun pe
Naache taa thaiyya
Tat thaiyaa tat thaiyya
Naache taa thaiyya
Duniya sharaafat ko
Maane na bhaiyya
Dande ki dhun pe
Naache taa thaiyya
Danda khiwaiyya paar lagaiyya
Dande bina kab chalti hai naiyya
Dande bina kab chalti hai naiyya
Jaise ko taisa
Nahle pe dahla
Duniya ka pyaare
Asool hai ye pehla

bharatlyrics.com

Ho o o o hoy
Gaali ke badle degaa jo gaali
Khush hoke duniya bajaayegi taali
Gaali ke badle degaa jo gaali
Khush hoke duniya bajaayegi taali
Dede karegaa
Bhooka marega
Na koi waaris na koi waali
Na koi waaris na koi waali
Jaise ko taisa
Nahle pe dahla
Duniya ka pyaare
Asool hai ye pehla
Jaise ko taisaa
Nahle pe dahla
Duniya ka pyaare
Asool hai ye pehla.

Jaise Ko Taisa Nehle Pe Dehla Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download