Kaisi Haseen Aaj Lyrics - Mohammed Rafi, Talat Mahmood

Kaisi Haseen Aaj lyrics, the song is sung by Mohammed Rafi, Talat Mahmood from Aadmi (1968). The music of Kaisi Haseen Aaj Romantic track is composed by Naushad Ali while the lyrics are penned by Shakeel Badayuni.

Kaisi haseen aaj bahaaro ki raat hai
Ek chaand aasmaan pe hai, ek mere saath hai
O dene waale tune to koyi kamee na kee
Abb kisko kya mila, yeh muqaddar ki baat hai

Chhaaya hai husno ishq pe ek range bekhudi
Chhaaya hai husno ishq pe ek range bekhudi
Aate hai jindagi mein yeh aalam kabhi kabhi
Har ghum ko bhul jaao, khushi ki baaraat hai
Ek chaand aasmaan pe hai, ek mere saath hai

Aayi hai woh bahaar ke nagame ubal pade
Aisi khushi mili hai ke aansoo nikal pade
Honto pe hai duwaaye, magar dil pe haath hai
Abb kisko kya mila, yeh muqaddar ki baat hai

bharatlyrics.com

Masti simat ke pyaar ke gulshan mein aa gayi
Masti simat ke pyaar ke gulshan mein aa gayi
Meri khushi bhi aapke daaman mein aa gayi
Bhavra kali se dur nahi, saath saath hai
Abb kisko kya mila, yeh muqaddar ki baat hai
Kaisi haseen aaj bahaaro ki raat hai
Ek chaand aasmaan pe hai, ek mere saath hai.

Kaisi Haseen Aaj Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download