Na Aadami Ka Koyi Bharosa Lyrics - Mohammed Rafi

Na Aadami Ka Koyi Bharosa lyrics, the song is sung by Mohammed Rafi from Aadmi (1968). Na Aadami Ka Koyi Bharosa Sad soundtrack was composed by Naushad Ali with lyrics written by Shakeel Badayuni.

Teri mohabbat pe shak nahi hai
Teree wafao ko manata hu
Magar tujhe kiski aarju hai
Main yeh hakikat bhi janata hu

Na aadami ka koyi bharosa
Naa dosti ka koyi thikana
Wafaa kaa badalaa hain bewafayi
Ajab jamana hain yeh jamana
Na aadami ka koyi bharosa

Naa husn mein abb woh dilakashee hai
Naa ishk mein abb woh jindagi hai
Jidhar nigaahe uthake dekho
Sitam hain dhokhaa hain berukhi hai
Badal gaye jindagee ke nagame
Bikhar gayaa pyaar kaa tarana
Badal gaye jindagee ke nagame
Bikhar gayaa pyaar kaa tarana
Na aadami ka koyi bharosa

bharatlyrics.com

Dawa ka badale mein jeher de do
Utaar do mere dil mein khanjar
Lahu se sincha tha jis chaman ko
Uge hain shole ussi ke andar
Mere hee ghar ke charaag ne khud
Jala diya mera aashiyana
Mere hee ghar ke charaag ne khud
Jala diya mera aashiyana
Na aadami ka koyi bharosa
Naa dosti ka koyi thikana
Wafaa kaa badalaa hain bewafayi
Ajab jamana hain yeh jamana.

Na Aadami Ka Koyi Bharosa Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download