कावेरी से मिलने Kaveri Se Milne Lyrics - A.R. Rahman, Swagat Rathod, Pooja Tiwari

KAVERI SE MILNE LYRICS IN HINDI: Kaveri Se Milne (कावेरी से मिलने) is a Hindi song from the Bollywood film Ponniyin Selvan: I, starring Vikram, Aishwarya Rai Bachchan, Jayam Ravi, Karthi and Trisha, directed by Mani Ratnam. "KAVERI SE MILNE" song was composed by A.R. Rahman and sung by A.R. Rahman, Swagat Rathod and Pooja Tiwari, with lyrics written by Mehboob.

Ho kaveriya teri kaya
Ambar sheesh jhukaye

Dharti ke maathe ki rekha dikhe tu
Ithlati balkhati aise chale tu
Veeron ke dere hain tere kinaare
Ghodon ki pyason ko hain tere dhare

Kaveri se milne chalte hi jaana hai
Shaunk chanchal chalte hi jaana hai
Surmai shaam hogi mausam suhana hai
Uska aanchal chalte hi jaana hai

Kheton ke paar chalte hi jaana hai
Unche aabshar chalte hi jaana hai
Nehron ki kataar uska khazana hai
Maati ki pukaar veeron ne jaana hai

Kya pyare nazaarein hain semba semba
Dil ko thame hain

Faslein sone ke jaisi sone sone ke jaisi
Kankar moti ke jaise moti moti ke jaise
Ji kahe yahin rukne yahin yahin pe ruke
Par manzil aur hai manzil aur hi hai

bharatlyrics.com

Semba re veeron ne jaana hai
Tad-tad-tad tad-tad-tad tad-tad-tad
Veeron ne jaana hai
Ho kaveri re chalte hi jaana hai

Laali lalla laali lalla
Gaaye woh bulaye mujhe woh
Veeron ki zameen ko chale choomne ko
Seena taan ke jaise teer ke
Yaara rukna na badhta ja

Kaveri se milne chalte hi jaana hai
Shaunk chanchal veeron ne jaana hai
Surmai shaam hogi chalte hi jaana hai
Uska aanchal veeron ne jaana hai

O re naaznee chalte hi jaana hai
Tere sang hi veeron ne jaana hai
Teri chaah mein chalte hi jaana hai
Tere rang hi veeron ne jaana hai

Sona lutaye re sooraj semba
Chaandi barsaye chanda semba
Sabz kheton ka jala hai semba
Atka hai dil mera re amba
Ruku kaise

Ho waqt barf ka tukda semba
Hathon se pighle hai semba
Farz hai mere zimme re semba
Hum toh ab chalte hain amba
Yaara re hawaon ke par pe

Dilkashi dilkashi
Milenge hum tujhse toh phir kabhi
Dilkashi dilkashi
Abhi toh mujhe jaana hai aur kahin

Kaveri se milne chalte hi jaana hai
Shaunk chanchal uska khazana hai
Surmai shaam hogi mausam suhana hai
Uska aanchal apna deewana hai

O re naaznee chalte hi jaana hai
Tere sang hi chalte hi jaana hai
Teri chaah mein chalte hi jaana hai
Tere rang hi chalte hi jaana hai

Kya pyare nazaarein hain
Veeron ne jaana hai.

Kaveri Se Milne Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *