Krodh Na Karna Lyrics - Prabodh Chandra Dey (Manna Dey)

Krodh Na Karna lyrics, the song is sung by Prabodh Chandra Dey (Manna Dey) from Bansari Bala (1957). The music of Krodh Na Karna Motivational track is composed by Kamal Mitra while the lyrics are penned by Pandit Phani.

Krodh na karna re sansari
Krodh kiya to bhul ki bhari
Sau sau ghar ek saath jalati
Krodh ki chhoti si chingari
Krodh na karna re sansari
Krodh kiya to bhul ki bhari
Bhul ki bhari re
Krodh na karna re sansari
Krodh kiya to bhul ki bhari
Bhul ki bhari re

Iske bas mein bhai bhai ko
Dushman ban lalkare
Baap ke muh par beta bole
Patni ko pati mare
Krodhi ka ghar narak ki jwala
Krodhi ka ghar narak ki jwala
Jalte nar aur nari re
Jalte nar aur nari
Krodh na karna re sansari
Krodh kiya to bhul ki bhari
Bhul ki bhari re

bharatlyrics.com

Krodh mein aakar lade padosi
Desh ka ho batwara
Apne pal mein bane paraye
Bikhre kunba sara
Phool phool kata ban jaye
Phool phool kata ban jaye
Ujad jaye phulwari re
Ujad jaye phulwari
Krodh na karna re sansari
Krodh kiya to bhul ki bhari
Bhul ki bhari re
Krodh na karna re sansari.

Krodh Na Karna Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download