Laakhon Taaren Aasmaan Mein Lyrics - Lata Mangeshkar, Mukesh Chand Mathur (Mukesh)

Laakhon Taaren Aasmaan Mein lyrics, the song is sung by Lata Mangeshkar, Mukesh Chand Mathur (Mukesh) from Hariyali Aur Rasta (1962). The music of Laakhon Taaren Aasmaan Mein Happy track is composed by Jaikishan Dayabhai Panchal, Shankar Singh Raghuvanshi while the lyrics are penned by Shailendra (Shankardas Kesarilal).

Laakhon taare aasmaan mein,
Ek magar dhoonde naa milaa
Dekhke duniyaa ki deewaali,
Dil meraa chupchaap jalaa
Dil meraa chupchaap jalaa …
Laakhon taare aasmaan mein,
Ek magar dhoonde naa milaa
Ek magar dhoonde naa milaa

bharatlyrics.com

Qismat kaa hai naam magar hai,
Magar kaam hai ye duniyaa waalon kaa
Phoonk diyaa hai chaman
Hamaare khwaabon aur khayaalon kaa
Jee kartaa hai khud hi ghont dein,
Apne armaanon kaa galaa
Dekhke duniyaa ki deewaali,
Dil meraa chupchaap jalaa
Dil meraa chupchaap jalaa

Sau-sau sadiyon se lambi
Ye gham ki raat nahin dhalti
Is andhiyaare ke aage ab
Ai dil ek nahin chalti
Hanste hi lut gayi chaandni,
Aur uthte hi chaand dhalaa
Dekhke duniyaa ki deewaali,
Dil meraa chupchaap jalaa
Dil meraa chupchaap jalaa

Maut hai behtar is haalat se,
Naam hai jiskaa majboori
Kaun musaafir tay kar paayaa,
Dil se dil ki ye doori
Kaanton hi kaanton se guzraa,
Jo raahi is raah chalaa
Dekhke duniyaa ki deewaali,
Dil meraa chupchaap jalaa
Dil meraa chupchaap jalaa
Laakhon taare aasmaan mein,
Ek magar dhoonde naa milaa
Dekhke duniyaa ki deewaali,
Dil meraa chupchaap jalaa
Dil meraa chupchaap jalaa.

Laakhon Taaren Aasmaan Mein Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download