Mera Dil Bharo Ka Lyrics - Lata Mangeshkar

Mera Dil Bharo Ka lyrics, the song is sung by Lata Mangeshkar from Aadhi Raat Ke Baad (1965). Mera Dil Bharo Ka Sad soundtrack was composed by Chitragupta Shrivastava with lyrics written by Anand Bakshi.

Mera dil baharo ka wo phool hai
Mera dil baharo ka wo phool hai
Jise gulsita ki najar lag gayi
Kisi ne jalaya nahi ye chaman
Ise bagba ki najar lag gayi

Ye sach hai ke tumne mujhe gum diya
Tumhe fir bhi maine na ruswa kiya
Ye sach hai ke tumne mujhe gum diya
Tumhe fir bhi maine na ruswa kiya
Kisi ne jo pucha to ye kah diya
Mujhe aasma ki najar lag gayi
Mera dil baharo ka wo phool hai
Jise gulsita ki najar lag gayi

Mujhe is jamane ne luta nahi
Ye dil badnasibi se tuta nahi
Mujhe is jamane ne luta nahi
Ye dil badnasibi se tuta nahi
Sitamgar koi mujhe rutha nahi
Kisi meharba ki najar lag gayi
Mera dil baharo ka wo phool hai
Jise gulsita ki najar lag gayi

bharatlyrics.com

Najar muskurai thi jiske liye
Usi ne nigaho ko aasu diye
Najar muskurai thi jiske liye
Usi ne nigaho ko aasu diye
Jaha dil diwane ne sajde kiye
Wahi aasta ki najar lag gayi
Mera dil baharo ka wo phool hai
Jise gulsita ki najar lag gayi.

Mera Dil Bharo Ka Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download