Na Hai Zameen Na Aasman Lyrics - Amit Kumar, Sadhana Sargam

Na Hai Zameen Na Aasman lyrics, the song is sung by Amit Kumar, Sadhana Sargam from Khel (1992). Na Hai Zameen Na Aasman Romantic soundtrack was composed by Rajesh Roshan with lyrics written by Javed Akhtar.

Naa hain zameen naa aasman,
Laye kaha ho hamko
Badal nagar hain meraa ghar,
Laya jahan hoon tumko
Naa hain zameen naa aasman,
Laye kaha ho hamko
Badal nagar hain meraa ghar,
Laya jahan hoon tumko
Chhodo hansi badal mein bhi
Koyi bhala rehata hain
Aa dekh le inn aankho se,
Deewana sach kahta hai
Naa hain zameen naa aasman,
Laye kaha ho hamko
Badal nagar hain meraa ghar,
Laya jahan hoon tumko

Teri iss nagari mein
Kaise raste hain yeh
Pair sitaaro par rakhkar chalte hain
Teri iss nagari mein
Kaise raste hain yeh
Pair sitaaro par rakhkar chalte hain
Ik taara woh chalta hain jo,
De do mujhe woh nagina
Abb chand hai bindiya teri,
Suraj teraa aaina
Naa hain zameen naa aasman,
Laye kaha ho hamko
Badal nagar hai meraa ghar,
Laya jahan hoon tumko

bharatlyrics.com

Pyar ke yeh do pal,
Hamko ghere hain yeh
Dhundhle ujale hain,
Ujle andhere hain yeh
Pyar ke yeh do pal,
Hamko ghere hain yeh
Dhundhle ujale hain,
Ujle andhere hain yeh
Yeh pyar ke badal ghane
Kal ko pighal jaye toh
Sun aye hasin ham woh nahin,
Ik din badal jaye jo
Naa hai zameen naa aasman,
Laye kaha ho hamko
Badal nagar hain meraa ghar,
Laya jahan hoon tumko
Chhodo hansi badal mein bhi
Koyi bhala rahta hai
Aa dekh le inn aankho se,
Deewana sach kahta hai.

Na Hai Zameen Na Aasman Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download