Nirdhan Ka Ghar Lootne Waalon Lyrics - Mohammed Rafi

Nirdhan Ka Ghar Lootne Waalon lyrics, the song is sung by Mohammed Rafi from Baiju Bawra (1952). The music of Nirdhan Ka Ghar Lootne Waalon Philosophical track is composed by Naushad Ali while the lyrics are penned by Shakeel Badayuni.

Nirdhan kaa ghar lootne walo
Loot lo dil kaa pyaar
Pyaar wo dhan hai jiske aage
Sab dhan hai bekaar
O insaan bano
Insaan bano karlo
Bhalaayi kaa koyi
Kaam insaan bano
Duniya se chale jaaoge
Rah jaayegaa bas naam
Insaan bano

O is baagh mein sooraj
Bhi nikaltaa hai liye gham
Phoolon ki hansi dekh
Ke ro deti hai shabnam
Kuchh der ki khushiyaan hain
To kuchh der kaa maatam
Kis neend mein ho
Kis neend mein ho
Jaago zaraa soch lo
Anjaam insaan bano

bharatlyrics.com

O laakhon yahaan shaan
Apni dikhaate huye aaye
Dam bhar ke liye naach
Gaye dhoop mein saaye
Wo bhool gaye the ke
Ye duniya hai saraai
Aataa hai koyi
Aataa hai koyi subah ko
Jaataa hai koyi
Shaam insaan bano

O kyun tumne lagaaye
Hain yahaan zulm ke dere
Dhan saath na jaayegaa
Bane kyun ho lutere
Peete ho gareebon kaa
Lahu shaam sawere
Khud paap karo
Khud paap karo naam ho
Shaitaan kaa badnaam
Insaan bano
Insaan bano karlo
Bhalaayi kaa koyi kaam
Insaan bano
Duniya se chale jaaoge
Rah jaayegaa bas naam
Insaan bano.

Nirdhan Ka Ghar Lootne Waalon Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download