Paise Ki Pahachaan Yahaan Lyrics - Mohammed Rafi

Paise Ki Pahachaan Yahaan lyrics, the song is sung by Mohammed Rafi from Pehchan (1970). Paise Ki Pahachaan Yahaan Sad soundtrack was composed by Jaikishan Dayabhai Panchal, Shankar Singh Raghuvanshi with lyrics written by Gopaldas Saxena (Neeraj).

Paise ki pahachaan yaha
Insaan ki qimat koi nahi
Bach ke nikal jaa is basti
Mein karta mohabbat koi nahi

Biwi bahan maan beti na
Koi paise kaa sab rishtaa hai
Biwi bahan maan beti na
Koi paise kaa sab rishtaa hai
Aankh kaa aansu khun
Jigar kaa mitti se bhi sastaa hai
Mitti se bhi sastaa hai
Sab ka teri jeb se nata
Teri zururat koi nahi
Bach ke nikal jaa is basti
Mein karta mohabbat koi nahi

Shokh gunaaho ki ye mandi
Mithaa zahar jawaani hai
Shokh gunaaho ki ye mandi
Mithaa zahar jawaani hai
Kahate hai imaan jise wo
Kuchh noto ki kahaani hai
Kuchh noto ki kahaani hai
Bhukh hai mazahab is
Duniya kaa aur haqiqat koi nahi
Bach ke nikal jaa is basti mein
Karta mohabbat koi nahi

bharatlyrics.com

Zindagi kyaa hai cheez yaha
Mat puchh aankh bhar aati hai
Zindagi kyaa hai cheez yaha
Mat puchh aankh bhar aati hai
Raat mein karati byaah kali wo
Bewaa subah ho jaati hai
Bewaa subah ho jaati hai
Aurat ban kar is kuche
Mein rahati aurat koi nahi
Bach ke nikal jaa is basti
Mein karta mohabbat koi nahi
Karta mohabbat koi nahi.

Paise Ki Pahachaan Yahaan Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download