Ram Ho Kya Tum Paththar Lyrics - Asha Bhosle, Kishore Kumar

Ram Ho Kya Tum Paththar lyrics, the song is sung by Asha Bhosle, Kishore Kumar from Naya Kadam (1984). The music of Ram Ho Kya Tum Paththar Happy track is composed by Bappi Lahiri while the lyrics are penned by Indeevar (Shyamalal Babu Rai).

Ram ho kya tum pathar ko chhukar
Pawan jisne kiya
Pawan jisne kiya
Shankar ho kya ganga ko jisne
Sar par utha liya
Sar par utha liya
Na main ram hoon na main shankar
Main hoon sathi tere jeevan sathi tera

bharatlyrics.com

Dag bhara tha aachal mera
Tumne phir bhi apnaya
Phul ki kya galti jo kisi ne
Dhul me use milaya
Dosh nahi mera
Koi jag wale kya manenge
Jag wale to sita ki bhi
Agni pariksha lenge
Wo thi kahani ye sach hai
Sach ko swikar kiya
Sach ko swikar kiya
Ram ho kya tum pathar ko chhukar
Pawan jisne kiya
Pawan jisne kiya

Maine andhere hi dekhe the
Roshni tune dikhayi
Ghar mein kadam rakha to laga
Jaise mandir mein aayi
Karte ha man mein ujala jo
Gine jate hai wo devo mein
Tumhi to ho wo mere devta
Dedo jagah apne charono mein
Teri jagah mere man mandir mein
Aarti ka tu diya
Aarti ka tu diya
Ram ho kya tum pathar ko chhukar
Pawan jisne kiya
Pawan jisne kiya
Shankar ho kya ganga ko jisne
Sar par utha liya
Sar par utha liya
Na main ram hoon na main shankar
Main hoon sathi tere jeevan sathi tera.

Ram Ho Kya Tum Paththar Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download