Sajan Sajan Teri Dulhan Lyrics - Alka Yagnik

Sajan Sajan Teri Dulhan lyrics, the song is sung by Alka Yagnik from Aarzoo (1999). The music of Sajan Sajan Teri Dulhan Love track is composed by Anu Malik while the lyrics are penned by Anand Bakshi.

Chandni rat, taro ki barat hai
Dil ki mehfil sajane mein
Kya der hai, kya der hai
Dhadkane dil ki shehnaiya ban gayi
Abb toh sajan ke aane mein
Kya der hai, kya der hai

Meri zindagi mera pyar yad aa raha hai
Aanewala hai jo, woh yad aa raha hai
Sajan sajan teri dulhan tujhko pukare aaja
Aakar mere hatho mein mehndi tu hi racha ja
Sajan sajan teri dulhan
Tujhko pukare aaja
Aakar mere hatho mein
Mehndi tu hi racha ja
Aa ja, aa ja, aa ja

Meri zindagi mera pyar yad aa raha hai
Aanewala hai jo, woh yad aa raha hai
Sajan sajan teri dulhan tujhko pukare aaja
Aakar mere hatho mein
Mehndi tu hi racha ja
Aa ja, aa ja, aa ja

bharatlyrics.com

Payal kajal kangan daman sare tujhe bulaye
Aa ja sajan aa ja tere apne tujhe bulaye
Aa ja, aa ja, sajan aa ja
Mere mehbub, mere hamsafar
Tujhko kya pata, hai tujhe kya khabar,
Ehsan tere kitne hai mujhpar
Rab pe yakin hai jitna, utna hai tujhpar
Aa ja, aa ja, aa ja

Mera mehbub mera sanam aa raha hai
Ham toh marhi chuke the,
Phir janam aa raha hai
Sajan sajan teri dulhan tujhko pukare aa ja
Aakar mere hatho mein
Mehndi tu hi racha ja
Aa ja, aa ja, aa ja

Chunri meri rangin huyi hai
Tere rang se sajan
Aakar rang de mera
Ang ang apne rang se sajan
Aa ja aa ja sajan aa ja
Tumse wafaye bahut main karungi
Kasam teri abb yeh dil kisi ko na dungi
Aa tujhe bata du, mere dil mein kya hai
Dil lenewale tujhe jaan apni dungi
Aa ja, aa ja, aa ja

Dhadkane badh rahi hai,
Woh karib aa raha hai
Khushnasibi banke mera
Woh nasib aa raha hai
Sajan sajan teri dulhan
Tujhko pukare aa ja
Aakar mere hatho mein
Mehndi tu hi racha ja

Chandni raat, taro ki barat hai
Dil ki mehfil sajne mein
Kya der hai, kya der hai
Dhadkane dil ki shehnaiya ban gayi
Abb toh sajan ke aane mein
Kya der hai, kya der hai.

Sajan Sajan Teri Dulhan Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download