Sapne Se Kaun Jagaaye Re Lyrics - Kanan Devi

Sapne Se Kaun Jagaaye Re lyrics, the song is sung by Kanan Devi from Arabian Nights (1946). Sapne Se Kaun Jagaaye Re Happy soundtrack was composed by Kamal Dasgupta with lyrics written by Faiyyaz Hashmi.

Sapne se kaun jagaaye re
Mujhe sapne se
Kaun jagaaye re
Kaun geeton se
Mujhko bulaaye re ae
Geeton se mujhko
Bulaaye re ae ae
Sapne se kaun
Jagaaye re
Mujhe sapne se
Kaun jagaaye re

Meri maala ke
Sookhe phool saare
Phir bhi bane hain
Chaand aur taare
Maala ke sookhe
Phool saare
Phir bhi bane hain
Chaand aur taare
Angdaai masti lutaaye re
Meri angdaai
Masti lutaaye re
Sapne se kaun jagaaye re

Meri zulfen ghataa
Meri aankhen sharaab
Baaton mein soz
Mere sur mein shabaab
Zulfen ghataa
Meri aankhen sharaab
Baaton mein soz
Mere sur mein shabaab
Koel bhi sharmaaye
Jaaye re kahin koel bhi
Sharmaaye jaaye re
Sapne se kaun jagaaye re
Mujhe sapne se
Kaun jagaaye re

bharatlyrics.com

Meri aankhon
Ke ghar mein
Bas rahe tum
Dil ke chaman mein
Hans rahe tum
Aankhon ke ghar mein
Bas rahe tum
Dil ke chaman mein
Hans rahe tum
Duniya pe meri
Tum chhaaye re
Is duniya pe
Is duniya pe meri
Tum chhaaye re
Sapne se kaun
Jagaaye re
Mujhe sapne se
Kaun jagaaye re.

Sapne Se Kaun Jagaaye Re Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download