Tabiyat Thik Thi Lyrics - Lata Mangeshkar

Tabiyat Thik Thi lyrics, the song is sung by Lata Mangeshkar from Mirza Sahiban (1957). Tabiyat Thik Thi Happy soundtrack was composed by Sardul Singh Kwatra with lyrics written by Verma Malik.

Tabiyat thik thi aur dil bhi bekarar na tha

Yeh tab ki baat hai ke jab kisi se pyar na tha

Na thi bechainiya betaabiya aur gham nahi tha
Koi mahebub na tha koi bhi hamdam nahi tha
Kisi ki yaad na thi aur itazar na tha
Yeh tab ki baat hai ke jab kisi se pyar na tha
Tabiyat thik thi aur dil bhi bekarar na tha
Yeh tab ki baat hai ke jab kisi se pyar na tha

bharatlyrics.com

Kisi paraye ki baato mein yeh mithas na thi
Mere be aas dil ko to koi bhi aas na thi
Kisi ke jhuthe wado pe bhi aitabar na tha
Yeh tab ki baat hai ke jab kisi se pyar na tha

Meri nindo ki duniya mein kisi ke sapne na the
Jaha ke dard aur dukh bhi mere apne na the
Mera dil thandi aah ka kabhi shikar na tha
Yeh tab ki baat hai ke jab kisi se pyar na tha
Tabiyat thik thi aur dil bhi bekarar na tha
Tabiyat thik thi aur dil bhi bekarar na tha
Yeh tab ki baat hai ke jab kisi se pyar na tha.

Tabiyat Thik Thi Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download