Teri Chaahat Mein Dil Yeh Lyrics - Kumar Sanu, Sadhana Sargam

Teri Chaahat Mein Dil Yeh lyrics, the song is sung by Kumar Sanu, Sadhana Sargam from The Don (1995). The music of Teri Chaahat Mein Dil Yeh Romantic track is composed by Dilip Sen, Sameer Sen while the lyrics are penned by Anwar Sagar.

Teri chaahat mein dil yeh deewana hua
Saari duniya se mein to begaana hua
Koi tumsa nahi is jaahan main sanam
Jeena mushkil hai mera tumhari kasam

Ho teri chaahat mein to deewani hui
Saari duniya se mein to begaani hui
Koi tumsa nahi is jaahan main sanam
Jeena mushkil hai mera tumhari kasam
Haa teri chaahat mein dil yeh deewana hua
Saari duniya se mein to begaana hua

Jo na dekhi kahi aisi surat ho tum
Mere khawabo se bhi khubsurat ho tum
Mere bechain dil ki zarurat ho tum
Meri jaan ho tum mohaabat ho tum
Koi tumsa nahi is jaahan main sanam
Jeena mushkil hai mera tumhari kasam
Haa teri chaahat mein to deewani hui
Saari duniya se mein to begaani hui

Dil tera naam leke dhadakne laga
Pyaar hi pyaar likha do sanam har jagaah
Aaj mausam nashe mein hai duba hua
Koi nagma suna do mujhe pyaar ka
Koi tumsa nahi is jaahan main sanam
Jeena mushkil hai mera tumhari kasam
Haa teri chaahat mein dil yeh deewana hua
Saari duniya se mein to begaana hua

bharatlyrics.com

Yu sharama ke nazare churao na tum
In adda o se pagal banao na tum
Tum ko bheja hai rab ne hamare liye
Bade bechain the hum tumhare liye
Koi tumsa nahi is jaahan main sanam
Jeena mushkil hai mera tumhari kasam
Haa teri chaahat mein to deewani hui
Saari duniya se mein to begaani hui

Koi tumsa nahi is jaahan main sanam
Jeena mushkil hai mera tumhari kasam
Teri chaahat mein dil yeh deewana hua
Saari duniya se mein to begaana hua.

Teri Chaahat Mein Dil Yeh Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download