Tu Kaun Kahaan Se Aayi Hai Lyrics - Udit Narayan

Tu Kaun Kahaan Se Aayi Hai lyrics, the song is sung by Udit Narayan from Dil Pardesi Ho Gayaa (2003). Tu Kaun Kahaan Se Aayi Hai Dance, Happy soundtrack was composed by Usha Khanna with lyrics written by Saawan Kumar Tak.

Ye taazgi ye naazuki ye saadgi
tu kaun kahaan se aayi hai
Ye husn kahaan se laayi hai
Tu kaun kahaan se aayi hai
Ye husn kahaan se laayi hai
tera noor nahin insano saa
Kya khuda se milkar aayi hai
Kya khuda se milkar aayi hai

bharatlyrics.com

Teri aankhen baatein karti hain
Jaise lahrein baatein karti hain
Kya guzar hua hai gulshan se
Yaa phoolon se nahaa ke aayi hai
tera noor nahin insano saa
Kya khuda se milkar aayi hai
Kya khuda se milkar aayi hai

Amrit kaa ras honton mein bharaa
Kya paakiza hai naam tera
Dhadkan ki tarah se chalti hai
Kya dil bankar aayi hai
tera noor nahin insano saa
Kya khuda se milkar aayi hai
Kya khuda se milkar aayi hai

Is jahaan mein kiski amaanat hai
Tu kiske dil ki mohabbat hai
Hai kaun nasibon wala jiski
Tu dulhan bankar aayi hai
tera noor nahin insano saa
Kya khuda se milkar aayi hai
Kya khuda se milkar aayi hai
Tu kaun kahaan se aayi hai
Ye husn kahaan se laayi hai
tera noor nahin insano saa
Kya khuda se milkar aayi hai
Kya khuda se milkar aayi hai.

Tu Kaun Kahaan Se Aayi Hai Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download