Us Din Mujhko Bhool Na Jana Lyrics - Kishore Kumar, Lata Mangeshkar

Us Din Mujhko Bhool Na Jana lyrics, the song is sung by Kishore Kumar, Lata Mangeshkar from Samundar (1986). Us Din Mujhko Bhool Na Jana Love soundtrack was composed by Rahul Dev Burman with lyrics written by Anand Bakshi.

Us din mujhko bhul na jana
Jis din mujhse ji bhar jaye
Us din mujhko bhul na jana
Jis din mujhse ji bhar jaye
Hum dono ye kasam utha le
Jo bhule bas wo mar jaye
Us din mujhko bhul na jana
Jis din mujhse ji bhar jaye

bharatlyrics.com

Kaun kisi ko chhod raha hain
Kaun ye waada tod raha hain
Khun ke badle ab nas nas me
Pyar tumhara daud raha hain
Ye to sach hai par yeh na ho
Iss duniya se tu darr jaye
Us din mujhko bhul na jana
Jis din mujhse ji bhar jaye

Jab se hamne pyar kiya hain
Tab se tujhe kaisa lagta hain
Ho teri baate tu hi jane
Mujhko to aisa lagta hain
Babul ka ghar chhod ke gori
Jaise sajan ke ghar jaye
Us din mujhko bhul na jana
Jis din mujhse ji bhar jaye

Kuchh toh ye dil deewana hain
Kuchh mausam bhi mastana hain
Baki baate phir kar lena
Achha mujhko ab jana hain
Jo jaye jane se pahle
Aane ka vaada kar jaye
Hum dono ye kasam uthale
Jo bhule bas wo mar jaye
Us din mujhko bhul na jana
Jis din mujhse ji bhar jaye
Us din mujhko bhul na jana
Jis din mujhse ji bhar jaye.

Us Din Mujhko Bhool Na Jana Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *