Ye Do Aankhen Tujhe Deekhe Hain Lyrics - Zohrabai Ambalewali

Ye Do Aankhen Tujhe Deekhe Hain lyrics, the song is sung by Zohrabai Ambalewali from Sandesh (1952). The music of Ye Do Aankhen Tujhe Deekhe Hain Playful track is composed by Purushottam while the lyrics are penned by Kumud Tripathi.

Ye do aankhen tujhe deekhe hain
Mohabbat jinmein haan
Hain ye do pyaale ae zehar ke
Nahin sharbat inmein
Inko honthon se
Inko honthon se
O nadaan lagaa na lena
Inko honthon se
O nadaan lagaa na lena
Ye balaa hai ke kabhi
Sar pe balaa na lena aa
Ye balaa hai ke kabhi
Sar pe balaa na lena aa
Inko honthon se
O nadaan lagaa na lena
Inko honthon se

bharatlyrics.com

Kya huye shirin aur farhad
Kahaanewaale ae
Poochh ke dekh lo
Keh denge zamaanewaale
Aan aan aan aan
Inki ginti mein
Aan aan aan haan
Inki ginti mein
Kahin naam likha na lena
Inki ginti mein
Kahin naam likha na lena
Inko honthon se
O nadaan lagaa na lena
Inko honthon se

Laila majnu ki kahaani
To suni hi hogi laila majnu ki
Kahaani to suni hi hogi
Dil lagaane ki kabhi
Dil mein thhani bhi hogi
Jaan le legaa haan
Jaan le legaa
Kahin dard basaa na lena
Jaan le legaa
Kahin dard basaa na lena
Inko honthon se
O nadaan lagaa na lena
Inko honthon se.

Ye Do Aankhen Tujhe Deekhe Hain Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download