Baharo Ne Jise Chheda Hai Lyrics - Mukesh Chand Mathur (Mukesh)

Baharo Ne Jise Chheda Hai lyrics, the song is sung by Mukesh Chand Mathur (Mukesh) from Sunehre Din (1949). The music of Baharo Ne Jise Chheda Hai Romantic track is composed by Gyan Dutt while the lyrics are penned by Shewan Rizvi.

Baharo ne jise cheda hai
Wo saze jawani hai
Zamana sun raha hai jisko
Zamana sun raha hai jisko
Meri kahani hai
Baharo ne jise cheda

bharatlyrics.com

Kasam khake kisi ko jab
Kabhi apna banaunga
Chaman ki daliyo se
Laliya phulo ki launga
Sitaro ke chirago se
Phir is ghar ko sajaunga
Ke is ghar mein ek
Nayi duniya basani hai
Chaman mein sabne hi gaya
Tarana zindagani
Magar sabse alag tha
Rang meri hi zindagani ka
Fasana ik kadar rangin tha
Meri jawani ka
Ke jisne bhi suna
Kahne laga meri kahani hai
Baharo ne jise cheda

Koi samjhe na samjhe
Main kahe deta hoon duniya se
Ke main duniya mein hoon
Matlab nahi rakhta hoon duniya se
Kabhi kuch dil mein aata hai
Mai kah deta hoon duniya se
Meri aawaz hi meri kahani hai
Baharo ne jise cheda
Meri kahani hai
Baharo ne jise cheda.

Baharo Ne Jise Chheda Hai Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download