Chaunk Kar Neend Se Lyrics - Anup Jalota

Chaunk Kar Neend Se lyrics, the song is sung by Anup Jalota from Kashish (1998). Chaunk Kar Neend Se Ghazal soundtrack was composed by Bhushan Dua with lyrics written by .

Chaunk kar neend se
Uthakar main baith jaata hoon
Chaunk kar neend se
Uthakar main baith jaata hoon
Khwaab mein jab kabhi
Bechain tumko paata hoon
Khwaab mein jab kabhi
Bechain tumko paata hoon
Chaunk kar neend se
Uthakar main baith jaata hoon

Tum to kehate the ke
Tum khush ho
Bichhad kar mujhse
Aakhari baar mile the
Yahi keha kar mujhse
Aaj mehsoos huaa hain
Ke galat hain humdam
Kya hain sachchai bata do
Hain tumhen meri kasam
Phir na puchhunga koi
Baat kasam khata hoon
Chaunk kar neend se
Uthakar main baith jaata hoon

bharatlyrics.com

Saath beete huye lamho
Ki nishani bankar
Tum bichhad kar bhi ho
Iin aankhon mein paani bankar
Tum zamane ki nigaho
Mein juda laakh sahin
Tum ho samil meri nas nas
Mein ravaani ban kar
Jo haqikat hain mere dil ki
Main bata ta hoon
Chaunk kar neend se
Uthakar main baith jaata hoon

Baat bigadi huyi chaho to
Bana lo phir se
Dil ki raaho ne nai
Shamma jalalo phir se
Hum tumhare the tumhare
Hain karo mera yakeen
Aasmaan chaand sitaare
Tumhi ho meri zameen
Apni dhadkan mein tumhari hi
Sadda paata hoon
Chaunk kar neend se
Uthakar main baith jaata hoon
Khwaab mein jab kabhi
Bechain tumko paata hoon
Chaunk kar neend se
Uthakar main baith jaata hoon.

Chaunk Kar Neend Se Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download