Gagan Se Oonchi Lyrics - Mohammed Aziz, Suresh Wadkar, Vinod Rathod

Gagan Se Oonchi lyrics, the song is sung by Mohammed Aziz, Suresh Wadkar, Vinod Rathod from Param Vir Chakra (1995). Gagan Se Oonchi Happy soundtrack was composed by Ravindra Jain with lyrics written by Ravindra Jain.

Gagan se oonchi manzhil hamari
Hum azaad parinde, hum azaad parinde ho
Azaadi humko hain jaan se pyaari
Hum azaad parinde, hum azaad parinde ho
Gagan se oonchi manzhil hamari

bharatlyrics.com

Aage hain khula gagan
Pichhe na koi saiyya
Hum ghar se bhar nikale
Are bahot dino ke baad
Hum dilwale hum matwale
Hain albele manmauji
Chhutti paakar masti lene
Chale hain kal ke fauji
Hai koi sawar kisi ki sawari
Hum azaad parinde, hum azaad parinde ho
Azaadi humko hain jaan se pyaari
Hum azaad parinde, hum azaad parinde ho
Gagan se oonchi manzhil hamari

Hum rang teerange ke
Sangam ke dhare hain
Teeno ke sukh dukh saathi
Hume jaan se pyaare hain
Parbat se majhboot iraade
Faulaadi hain baahein
Ek raah ke hain hum raahi
Majhil pe hain nigaahein
Hain pankho pe likhi hain zimedari
Hum azaad parinde, hum azaad parinde ho
Sang jeene marneki apni yaari
Hum azaad parinde, hum azaad parinde ho
Gagan se oonchi manzhil hamari.

Gagan Se Oonchi Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download