Ghamon Ne Gher Liya Hai Lyrics - Pankaj Udhas

Ghamon Ne Gher Liya Hai lyrics, the song is sung by Pankaj Udhas from Shagufta (1988). Ghamon Ne Gher Liya Hai Ghazal soundtrack was composed by Pankaj Udhas with lyrics written by .

Ghamon ne gher liya hain
Mujhe to kya gham hain
Ghamon ne gher liya hain
Mujhe to kya gham hain
Main mushkurake
Jeeunga teri khushi ke liye
Kabhi kabhi tu mujhe
Yaad kar to leti hain
Sukoon itna sa kaafi hain
Zindagi ke liye
Ghamon ne gher liya hain
Mujhe to kya gham hain

Ye waqt jisne palat kar
Kabhi nahin dekha
Ye waqt ab bhi muraado ke
Phool laata hain
Woh mod jisne humein
Ajnabi bana daala
Usse ik mod pe dil
Abhi bhi ghungunata hain
Ghamon ne gher liya hain
Mujhe to kya gham hain

Fazaye rukati hain raahon pe
Jinse hum guzrein
Ghataye aaj bhi jhuk kar
Salaam karti hain
Har ek sab ye suna hain
Falak pe kuch pariya
Waffa ka chaand hamare
Bina na nikalti hain
Ghamon ne gher liya hain
Mujhe to kya gham hain

Ye mat kahon ke mohabbat se
Kuchh nahin paaya
Ye mere geet mere
Zakhmein dil ki raanai
Jinhein tarasti rahi
Anjuman ki rangeeni
Mujhe mili hain muqaddar se
Aisi tanhaai
Ghamon ne gher liya hain
Mujhe to kya gham hain

bharatlyrics.com

Main mushkurake jeeunga
Teri khushi ke liye
Kabhi kabhi tu mujhe
Yaad kar to leti hain
Sukoon itna sa kaafi hain
Zindagi ke liye
Ghamon ne gher liya hain
Mujhe to kya gham hain.

Ghamon Ne Gher Liya Hai Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download