Jab Dil Na Ho Pehlu Mein Lyrics - Surendra Nath

Jab Dil Na Ho Pehlu Mein lyrics, the song is sung by Surendra Nath from Dukhiyari (1948). The music of Jab Dil Na Ho Pehlu Mein Sad track is composed by Gyan Dutt while the lyrics are penned by F. M. Kaiser.

Jab dil na ho pehlu mein
To jeene ka maza kya hai
Jeene ka maza kya hai
Jab dil na ho pehlu mein
To jeene ka maza kya hai
Jeene ka maza kya hai

bharatlyrics.com

Dil todne wale ye bata
Tujhko mila kya
Tujhko mila kya
Jab dil na ho pehlu mein
To jeene ka maza kya hai
Jeene ka maza kya hai

Sine me hi ghut ghut ke
Mare jate hai arman
Jab dil pe lage chot
Tadap uthta hai inka
Do tarfa barbad
Mohabbat ka balidan
Do tarfa barbad
Mohabbat ka balidan
Kya todne mein dil ke
Maza aata hai bhagwan
Insaf se kahde
Yahi insaf hai tera
Insaf hai tera

Jab dil na ho pehlu mein
To jeene ka maza kya hai
Jeene ka maza kya hai

Duniya yahi duniya hai to
Duniya ko jala doon
Agar bas chale mera
Abhi akash hila doon
Duniya yahi duniya hai to
Duniya ko jala doon

Agar bas chale mera
Abhi akash hila doon
In ashko ke tufan ko
Dharti pe baha doon
Sansar mein har charo taraf
Aag laga doon
Aag laga doon
Kyu prem ki basti mein hai
Krodh ka phera
Krodh ka phera

Jab dil na ho pehlu mein
To jeene ka maza kya hai
Jeene ka maza kya hai.

Jab Dil Na Ho Pehlu Mein Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download