Tum Meet Humaare Ho Lyrics - Surendra, Zohrabai Ambalewali

Tum Meet Humaare Ho lyrics, the song is sung by Surendra, Zohrabai Ambalewali from Dukhiyari (1948). The music of Tum Meet Humaare Ho Playful track is composed by Gyan Dutt while the lyrics are penned by Farooq Qaiser.

Tum meet humare ho
Ham meet tumhaare hain
Haan tum meet humare ho
Ho hum meet tumhaare hain
Is dolti naiyya mein
Haaye re haaye
Do preet ke maare hain
Is dolti naiyya mein
Haaye re haaye
Do preet ke maare hain
Tum meet humare ho
Ham meet tumhaare hain
Haan tum meet humare ho
Ho hum meet tumhaare hain

bharatlyrics.com

Jal thhal hai samandar mein
Lehren bhi hain toofaan bhi
Aashaayen hain seene mein
Hasrat bhi hai armaan bhi
Jal thhal hai samandar mein
Lehren bhi hain toofaan bhi
Aashaayen hain seene mein
Hasrat bhi hai armaan bhi
Ham khelte maujon se
Haaye re haaye
Bekhauf kinaare hain
Ham khelte maujon se
Haaye re haaye
Bekhauf kinaare hain
Tum meet humare ho
Ho hum meet tumhaare hain
Haan tum meet humare ho
Ho hum meet tumhaare hain

Duniya hi niraali hai
Ham preet ke maaron ki
Zara door chalen sajni
Us chhaaon mein taaron ki
Wo geet sunaayenge
Haaye re haaye
Jo sabne bisaare hain
Wo geet sunaayenge
Haaye re haaye
Jo sabne bisaare hain
Tum meet humare ho
Ham meet tumhaare hain
Haan tum meet humare ho
Ho hum meet tumhaare hain

Tum chaand mere man ke
Main jiska ujaala hoon
Tum jyot muhabbat ki
Main jiski jwaala hoon
Ham prem ki duniya mein
Haaye re haaye
Jyun chaand sitaare hain
Ham prem ki duniya mein
Haaye re haaye
Jyun chaand sitaare hain
Tum meet humare ho
Ho hum meet tumhaare hain
Haan tum meet humare ho
Ho hum meet tumhaare hain.

Tum Meet Humaare Ho Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download