Jab Ishq Kahin Ho Jata Hai Lyrics - Asha Bhosle, Mubarak Begum

Jab Ishq Kahin Ho Jata Hai lyrics, the song is sung by Asha Bhosle, Mubarak Begum from Arzoo (1965). Jab Ishq Kahin Ho Jata Hai Masti soundtrack was composed by Jaikishan Dayabhai Panchal, Shankar Singh Raghuvanshi with lyrics written by Hasrat Jaipuri.

Aadab arz hai taslim taslim
Jab ishq kahi ho jata hai
Tab aisi halat hoti hai
Mahfil mein ji ghabrata hai
Tanhai ki adat hoti hai
Jab ishq kahi ho jata hai
Tab aisi halat hoti hai
Mahfil mein ji ghabrata hai
Tanhai ki adat hoti hai
Jab ishq kahi ho jata hai

Ye ishq chupaye chup na saka
Ye ishq wo chalta jadu hai
Haye kuch hosh nahi rahte kayam
Is ishq pe kiska kabu hai
Hai ishq mein jokhim itne
Khoya mahbub ka gesu hai
Har janib mein failti jati hai
Is ishq ki aisi khusbu hai
Chehre se haya ho jati hai
Kya chiz mohabbat hoti hai
Mahfil mein ji ghabrata hai
Tanhai ki adat hoti hai
Jab ishq kahi ho jata hai
Tab aisi halat hoti hai
Mahfil mein ji ghabrata hai
Tanhai ki adat hoti hai
Jab ishq kahi ho jata hai

bharatlyrics.com

Aankho mein hai lakho afsane
Khamosh hai lab wo manjil hai
Har sans mein lakho toofan hai
Toofan mein dil ka sahil hai
Arman machalte rahte hai
Ye dard bada hi katil hai
Roke se qayamat ruk jaye
Par rokna bhi kam muskil hai
Dildar ki payasi aanhko ko
Didar ki hasrat hoti hai
Mahfil mein ji ghabrata hai
Tanhai ki adat hoti hai
Jab ishq kahi ho jata hai
Tab aisi halat hoti hai
Mahfil mein ji ghabrata hai
Tanhai ki adat hoti hai
Jab ishq kahi ho jata hai.

Jab Ishq Kahin Ho Jata Hai Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download