Khush Rahne Ko Zaroori Lyrics - Alka Yagnik, Nitin Mukesh Chand Mathur, Sadhana Sargam, Vinod Rathod

Khush Rahne Ko Zaroori lyrics, the song is sung by Alka Yagnik, Nitin Mukesh Chand Mathur, Sadhana Sargam, Vinod Rathod from King Uncle (1993). The music of Khush Rahne Ko Zaroori Happy track is composed by Rajesh Roshan while the lyrics are penned by Indeevar (Shyamalal Babu Rai).

Khush rehane ko zaroori
Kya hai bolo yaar
Khush rehane ko zaroori
Kya hai bolo yaar
Khushi toh milati hai
Jab mile kisika pyar
Khush rehane ko
Zaroori kya hai bolo yaar
Khushi toh milati
Hai jab mile kisika pyar

Iss duniya mein bolo
Kab milta hai pyar
Koyi kisiko pehle
Jab deta hai pyar
Khush rehane ko zaroori
Kya hai bolo yaar
Khushi toh milati hai
Jab mile kisika pyar

Jis ne apni khushi ko mitaya
Dusaro par sabhi kuchh lutaya
Pyar karna us ko hi aaya
Ho pyar karna us ko hi aaya
Sachhi chahat mein
Toh hoti nahi saudebaji
Kurbani dene ko
Rehate hai do dil raji
Kurbani kehte hain
Kisko bolo sarkar
Kurbani kehte hain
Kisko bolo sarkar
Yar pe jo kar de
Yeh zindagi nisar
Khush rehane ko zaroori
Kya hai bolo yaar
Khushi toh milati hai
Jab mile kisika pyar

Khushi hoti nahi
Kahin bahar
Woh toh hoti hai
Dil ke hi andar
Dil toh hai pyar
Ka ek samundar
Ho dil toh hai pyar
Ka ek samundar
Ik duje se kabhi ham abb
Toh khafa na honge
Khafa bhale ho jayen
Lekin juda na honge

bharatlyrics.com

Hote hain log juda
Kyon bolo mere dildar
Hote hain log juda
Kyon bolo mere dildar
Log juda hote hain
Jab kam hota hai pyar
Khush rehane ko
Zaroori kya hai bolo yaar
Khushi toh milati hai
Jab mile kisika pyar

Iss duniya mein bolo
Kab milta hai pyar
Koyi kisiko pehle
Jab deta hai pyar
Khush rehane ko
Zaroori kya hai bolo yaar
Khushi toh milati hai
Jab mile kisika pyar.

Khush Rahne Ko Zaroori Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download