Masoom Dil Ke Dard Ka Sadma Lyrics - Kumar Sanu

Masoom Dil Ke Dard Ka Sadma lyrics, the song is sung by Kumar Sanu from Nasheela (1999). Masoom Dil Ke Dard Ka Sadma Ghazal soundtrack was composed by Jeetu, Tapan with lyrics written by Pandit K.Razdan.

Masoom dil ke dard ka sadma zaroor tha
Masoom dil ke dard ka sadma zaroor tha
Kuchh bhi kaho woh umra bhar
Apna zaroor tha..apna zaroor tha..
Masoom dil ke dard ka sadma zaroor tha
Sadma zaroor tha

Ab isske shiva aur hume kuchh bhi nahi yaad
Ab isske shiva aur hume kuchh bhi nahi yaad
Yaadon ko humne ik jagah
Rakha zaroor thaa..rakha zaroor thaa..
Masoom dil ke dard ka sadma zaroor tha
Sadma zaroor tha

Dariya e gham ki mitti mein ab tak hai aag si
Dariya e gham ki mitti mein ab tak hai aag si
Shayad yahan pe ek din
Sehra zaroor thaa..sehra zaroor thaa..
Masoom dil ke dard ka sadma zaroor tha
Sadma zaroor tha

bharatlyrics.com

Woh ek ajeeb shaks thaa hasta thaa sara din
Woh ek ajeeb shaks thaa hasta thaa sara din
Lekin woh raat raat bhar
Rota zaroor thaa..rota zaroor thaa..
Masoom dil ke dard ka sadma zaroor tha
Sadma zaroor tha

Ab jaan liya duniya ne ulfat ke raaz ko
Ab jaan liya duniya ne ulfat ke raaz ko
Dil hi to ye zor se
Dhadka zaroor thaa..dhadka zaroor thaa..
Masoom dil ke dard ka sadma zaroor tha
Sadma zaroor tha..sadma zaroor tha..

Masoom Dil Ke Dard Ka Sadma Lyrics PDF Download
Print Print PDF     Pdf PDF Download